Monday 6 June 2016

Pani Peeney ki 6 sunnatain

Pani Peeney ki 6 sunnatain

Pani Peenay ki 6 Sunnatain:
1*Beth kar Peena
2*Peenay se pehle Bismillahir Rahmanir Raheem Padhna

3*Saf Bartan me Pani Dekh kr Peena
4*Sidhay Hath Se Peena
5*3 Sans May Pani Peena
6*Pani Peeney ke Baad Alhamdulillahi Rabbil Alamin Padhna 

fazail e durood shareef

fazail e durood shareef

[1] Darood gunaho ka kafara hai
[2] Darood se amal pak hota hai
[3] Darood padhne se darajat buland hote hai
[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai
[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai
[6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai
[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai
[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai
[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge
[10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai
[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai
[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai
[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai
[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi
[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga
[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga
[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega
[20] Pul sirat par use noor ata hoga
[21] Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai
[22] Darood ki barkat se maal badhta hai
[23] Darood padhna ibadat hai
[24] Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai
[25] Darood pak majliso ki zeenat hai
[26] Darood pak tangdasti ko dur karta hai
[27] Jo darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga
[28] Darood agar padh kar kisi marhoom ko bakhsha jaye to use bhi nafa deta hai
[29] Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota hai
[30] Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai
[31] Darood padhne wale ka dil zang se pak hojata hai
[32] Darood pak padhne wale shakash se log mohabbat karte hai
[33] Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz rehta hai
[34] Sab se badi naimat darood padhne ki yeh hai ke use khawab mai pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti hai
JUZB AL-QALUB MAI DARJA-E-ZIL FAZAIL BAYAN HAI
[35] Ek bar darood padhne se 10 gunah maaf hote hai 10 nekiyan milti hai 10 darje buland hote hai 10 rehmate naazil hoti hai
[36] Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai
[37] Darood padhne wale ka kandha(shoulder) jannat ke darwaze par nabi (Salallaho Alehi Wassalam) ke kandhe mubarak ke saath chu (touch) jayega SUBHAN ALLAH
[38] Darood padhne wala qayamat ke din sab se pehle aqa ke pas pohanch jayega
[39] Darood padhne wale ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat hogi
[40] Darood padhna duniya aur aakhirat ke har dar 0 gham ka wahid elaz hai
[41] Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai
[42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai
[43] Darood pak padhna munafa he munafa hai aur yeh munafa darood padhne wale ko jannat tak pohancha deta hai
[44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi se bachne ka asan amal hai
[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka faida usi ki taraf laut ta hai jo isko padhta hai
[46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna hai
[47] Darood pak padhne wala ruhaani taur par tarbiyat-e-Muhammad (Salallaho Alehi Wassalam) mai hota hai
[48] Darood ki kasrat karna ahl-e-sunnat ki allamat hai
[49] Darood padhne wala har majlis mai zaib 0 zeenat hasil karta hai
[50] Darood pak padhne wale ko baroz-e-hashar maidan-e-hashar mai jannat ki rahein khuli milengi Inshallah
[51] Darood pak padhne wale ke badan se khusbu aaya karegi
[52] Darood padhne wale ko hamesha neki karne ki khawahish raha karegi
[53] Darood padhne wale ka naam bargahe risalat mai liya jayega
[54] Darood padhne wala marne tak imaan par qaim rahega
[55] Darood padhne wale ke liye zameen 0 aasman walo ki duaein waqaf rahengi
[56] Darood pak padhne wale ko zaat mai aamal mai umar mai aulaad mai aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske 4 pushto tak aasar zahir honge
[57] Darood padne wale ka ghar roshan rahega
[58] Darood padhne wale ka chehra purnur aur guftar mai halawat hogi
[59] Darood pak padhnewale ki majlis mai bethne wale ki majlis mai log khush honge
[60] Darood pak padhne wale ki daawat ka sawab 10 gune hoga
[61] Darood padhne wala farishto ka imam banega
[62] Darood padhne wala Huzur ki qaul 0 fail ki itaba karega
[63] Darood pak padhne wale ki kashti toofano se Inshallah par hogi
[64] Darood padhne wala hamesha naik hidayat hasil karega
[65] Darood pak padhne wala thode hi arse mai ghani hojata hai
[66] Darood padhne wala duniya mai maroof hojata hai
[67] Darood padhne wale shakash ki zuban se maidan-e-hashar mai noor ki kiranein nikalen gi
[68] Darood pak se aankho ko noor milta hai
[69] Darood se sehat barqarar rehti hai
[70] Darood se aqa ki mohabbat ka jazba aur badhta hai
[71] Darood padhne wale ko kisi ki mohtaji na hogi
[72] Jaan asani se niklegi
[73] Qabar mai wusa’at hogi
[74] Niza ka waqat asan hoga
[75] Tamam kam asan ho jayenge
MAJLIS MAKTAB AL-MADINA KE RASALE ZAYA DAROOD 0 SALAM RISALA # 13 MAI DARJA-E-ZIL FAWAID BAYAN HAI
[76] Musalman jab tak mujh par darood padhta hai farishte us par rehmat bhejte rehte hai ab yeh insaan ki marzi hai ke kam le ya zayada
[77] Namaz ke baad hamd 0 sana 0 darood padhne wale se kaha jata hai “DUA MANG QABOOL KI JAYEGI SAWAL KAR DIYA JAYEGA”
[78] Jibrail (A.S) ne mujh se arz kiya ke Rab Ta’ala farmata hai aye Muhammad (s.a.w) kya tum is baat pe raazi nahi ke tumhara ummati tum par ke salam bheje mai us par 10 salam bhejoun
[79] Jis ne mujh par 10 martaba darood padha Allah us par 100 rehmatein nazil karta hai
[80] Jis ne mujh par 100 martaba darood bheja Allah Ta’ala uski dono aankho ke darmayan yeh likh deta hai ke yeh nifaq aur jahanum ki aag se azad hai aur use baroz-e-qayamat shuhada ke saath rakhega
[81] Jo mujh par ek din mai 1000 martaba darood padhega woh us waqat tak nahi marega jab tak ke woh apna muqam jannat mai na dekh le
[82] Jis ne din aur raat mai shoq 0 mohabbat ki waja se mujh par 3 /3 martaba darood padha to HaqTa’ala us ke us din aur raat ke gunah bakash deta hai
[83] Beshak tumhare naam bama shinakhat mujh par pesh kiye jaate hai lihaza mujh par ehsan yaani khoobsoorat alfaz mai darood padho
[84] Beshak hazrat jibreel (A.S) ne mujhe basharat di ke “jo Aap (Salallaho Alehi Wassalam) par darood padhta hai Allah Ta’ala us par rehmat bhejta hai aur jo Aap (Salallaho Alehi Wassalam) par salam padhta hai Allah us par Salamti bhejta hai
[85] Mujh par darood ki kasrat karo beshak yeh tumhare liye taharat hai
[86] Allah pak ki khatir aapas mai mohabbat rakhne wale jab baham mile aur musahfa kare aur nabi par darood bheje to un ke juda hone se pehle un ke agle pichle gunah baksh
diye jaate hai
[87] Jis ne kitab mai mujh par darood likha to jab tak mera naam us mai rahega farishte us ke liye astagfar karte rahenge
[88] Aye logo beshak qayamat ke din uski dehshaton aur hisab kitab se jald nijat hogi jis ne duniya mai kasrat se darood padha
[89] Jis ko yeh pasand ho ke Allah Ta’ala ki bargah mai pesh hote waqat Allah us se Raazi ho to use chaiye ke woh darood ki kasrat kare
[90] FARZ hajj karo beshak us ka ajar 20 ghazwat mai shirkat karne se zayada hai aur Mujh par 1 martaba durood padhna us ke barabar hai
[91] Jo mujh par din mai 100 martaba darood padhega Allah Ta’ala us ki 100 hajat puri farmayega
[92] Beshak mujh par darood padho mai tamam jahano ke rab ka rasool houn
[93] Darood shareef padhna tumhare liye qayamat mai noor hoga
[94] CHAMAKTI RAAT [SHAB-E- JUMA] AUR ROSHAN DIN [JUME KA DIN]{YANI JUMERAAT KA AFTAB GHAROOB HONE SE JUME KA SOORAJ DOOBNE TAK}MUJH PAR DAROOD KI KASRAT KARO JO AISA KAREGA QAYAMAT KE DIN MAI US KA SHA’AFI AUR GAWAH BANOUGA Inshallah
[96] Jo jumah ke din mujh par 80 bar darood bhejega uske 80 saal ke gunah maaf honge Inshallah
[97] Jo shaksh Jumah ke din Mujh par 100 martaba darood padhega to qayamat ke din jab woh aayega to us ke saath ek aisa noor hoga ke agar woh saari makhloq ko taqseem kar diya jaye to woh sab ko kifayat kare
[98] Jis ne Juma ke din mujh par 200 martaba darood padha Allah Ta’ala us ke 200 saal ke gunah maaf farmayega Inshallah
[99] Jumeraat aur shab-e-jumah ko jo mujh par 100 martaba darood padhega to Allah Ta’ala uski 100 hajatein poori karega jis mai Se 70 Akhirat ki Aur 30 duniya ki Inshallah
[100] FARMANE-ABDULLAH-IBN-UMAR-0 BIN-AAS (R.A) HAI “jo nabi pak par ke baar darood padhe to Allah Ta’ala aur malaika us par 70 martaba rehmat bhejega

hazrat Umer R.A ka Iman Afrooz Waqia

ASSALAM O ALAIKUM...

Khalifa-e-Sani Hazrat Umer Farooq R.A ny 24 Lakh Murabbah Miles per Hakoomat ki.......Raton ko uth uth ker Paira ddetay thay,Aur Logon ki Zarorat ka Khayal rakhtay thay.,,,Kehtay thay ager Furaat k Kinary ek Kutta bhi Payasa Marr gaya to kal Qayamat k Din umer (R.A) sy iss Bary main Pucha Jaye ga.




Ek dafa Aap R.A Darbar ka Waqt Khatem hony k baad gher aye aur kisi Kaam main lagg gaye,,,,Itne main ek Shaks Aya aur kehnay laga......Aye Ameer-Ul-Monineen Aap falan Shaks sy mera Haqq Dilwa Dijiye.Aap(R.A) ko buhat gussa Aya aur Aap R.A ny ek Durra Os Shaks ki Kamar per mara aur Kaha,,Jeb main Darbar lagata hon os waqat tum apnay Mamlaat ly ker nahi aatay.Aur jeb main gher k kaam kaaj main Masrrof hota hon to tum apni Zarootain ly ker aa jaty ho..,,


Baad main Aap(R.A) ko Apni Ghalti ka Ehsas hua toh bohat Preeshan hoye aur os shaks ko (Jisay mara tha) Bulwaya...,,,Aur Os k Hath main Durra diya aur Apni Kamar agay ker k kaha mujhe Maro maine tum sy Zayati ki,,,,,,Waqat ka Badshah,24 Lakh Murabbah miles ka Hukamran ek Aam Aadmi sy kah raha hai maine tum sy Zayati ki mujhe Wohi Saza do,,,,.....


os Shaks ny kaha Maine Aap ko Maaf kiya,,.Aap (R.A) kaha Nahi,Nahi, Kal Qayamat ko mujhe iss ka Jawab dena pary ga Tum mujhe ek Durra Maro tah kah Tuhara Badla Pura ho jaye.



Aap(R.A) Rotay jaty thay aur fermaty thay......Aye Umer tu Kaafir tha,,,,,,,,,Zalim Tha,,,,,,,Bakriyaan Charaata tha.,,,,,,,,,Allah ny Tujhe islam ki Dolat sy Mala Maal kiya aur tujhe Musalmano ka Khalifa banya,,,,,,,Kaya Tu Apny Rabb k Ehsaano ko Bhool gaya.....Aaj ek Aadmi Aa k Tujhe kehta hai kah mujhe mera Haqq Dilao to Tu osay Durra marta hai.....,,,Aye Umer Kaya Tu yah Samjh baitha kah Tu Mary ga nahi????Kal Qayamat k Din Tujhe Allah ko ek ek Amal ka Hisab dena Pary ga.Hazrat Umer Farooq Iss Baat ko Duhraatay rahy aur Bari dair tak Rotay rahy.






Allah Hamain Samjhay ki aur Amal kernay ki Tufeeq aata fermaye.Aur Allah Ham sab sy Razi ho jaye.Aamin                                          
                   EARLY LIFE
ye kissa ik aise din ka hai jab makka main garmi buhat urooj par thi, sakht chilchilati dhoop main ik shakhs daraz kad, jawan umar jis ka naam Umar tha,seene main badle ki aag liye howe apne maqsad ki takmeel ki khatir shadeed garmi ki parwa kiye bager tezi se kadam uthae rawan dawan tha us k samne sirf ik hi mission tha k kisi tarah insaniyat ko nai zindagi bakhshne wale shakhs Hazarat Muhammad S.A.W ko (nauzbillah) maut ki need sula doon.us no jawan ko ye maloom nahin tha k subah ki Aaaqa he naamdar Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ki Dua "Ae Allah!! ISalm ko Abu jehl bin Hisham ya Umar bin Khitab k Zariye Phehla de" (Tirmizi) Assamano ko cheerti howe arsh tak ponch chuki hai aur dua bare sharaf k sath qabool ho chuki hai. 
raste main jb un ki behn ka ghar aaya to wo apni behn k ghar gae kiyon k unhe pata chala tha k un ki behn ne b Isalm Qabool kiya hai.jb Fatima Bint Khitab ne Umar Bin Khgitab ko dekha to Quran ki kuch Surah chupa di.Umar Bin Khitab ne pehle un ko maara jb un ki nazar Surah Tahha ki kuch ayyat par pari to un ka dil mom sa hogaya aur wo Aap S.A.W k pass Gaar-e-Hira gae, Sab sahaba pareshan hogae k aaj kia hona hai, tab Aap S.A.W aae Gaar se bahir aur muskarte howe kaha "Umar tum Baaz nahi aaoge.." Aur IS Tarah Hazrat Umar Bin Khitab Islam ki raah pe aagae.phir unhone ne khule aam Iqrar kiya Islam ka tab kafiron k pairon se Zameen nikal gai k ab hum kia karengy.phir unhone buhat si aziyaten sahi aur jawan mardio k sath un ka dat kar muqabila b kiya, Hijrat e Madina k moqy par aap ki lalkar dushmano k liye haar sabit howi.phir gazwat ka daur shuru howa jis main Aap S.A.W k sath sath Sayyiduna Hazrat Umar R.A Howa karte the.                                          .     

Shaan E Farooque E Azam


Sayyiduna Hazrat Umar R.A k jalal ka ye Aalam tha k Hazoor Akram S.A.W ne Farmaya k "kasam Hai Us Zaat ki Jis k hath main meri jaan hai, agar shetan tumhe dekh leta hai to us raste se katra kar dosre raste par chlta hai.(Sahi Bukhari)".
Sayyiduna Hazrat Umar R.A is baat se nawaze gae the k Jo baat wo kehte the wo Quran ki Ayyat ban jati ya Hadees ban jati thi buhat se maqam py. 

==>ik Baar Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne Aap S.A.W ko kaha k maqam e Ibraheem par 2 raqat namaz parhni chahye,Aap S.A.W ne farmaya k aisa koi farman nahin hai, usi waqt wahi aai aur farman howa "maqam e Ibrahim ko Namaz parhne ki jagah bana lo". 

==> Jab rais ul Muhajreen Abdullah bin ubi bin Sulool ka janaza Huzoor Akram S.A.W k samne laya gaya to Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne Arz kia k Is Dushman e Islam ka janaza na parhaya jae, so Allah talla na Surah Tauba ki Aayat Nazil farma kar Zabit de diya k "munafiqeen ki jamat ka koi bad bakhat b mar jae to na to us ki janaza nimaz parh jae aur na us ki qabar par khada howa jae". 

==>Arab main pehly ihtiyatan parda kiya jata tha, lazim nahi tha.ik din Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne arz kia k AAQa (P.B.U.H) ye humari gerat ko ganwara nahin hai k humari aurton k ooper parda lazim na ho, to phir hukam howa aurton k parde ka, (Tirmizi).                                                        

ELECTION


Hazrat Abu Bakar R.A k inteqal k baad Sayyiduna Sayyiduna Hazrat Umar R.A Muslamano k khalefa chune gae, unhone b Hazrat Abu Bakar ki Tarah Quran O Hadess ko Apna Qanoon banaya.
Duar E Khilafat


01.==> Un hone Bait ul Maal Qaim kiye. 
02.==> Insaaf ki Adalten poori hukumat main banaegai, jahan py judge aur majistrates case handle karty the. 
03.==>Fauji Chonkiyan lagai gai awam k bachao k liye. 
04.==>Road aur nehron ki buniyad daali gai. 
05.==>Schools/Madarse khole gae, jahan py Imam, Muazzin aur Ustad ko tankhuwah di jati thi. 
06.==>Masajid ko Makka aur Madina main behtar banaya gaya hajion ki saholat k liye. 
07.==>Thaane aur jail banae gae mujrimon k liye. 
08.==>Pehla Islami Calender banaya gaya, Hijrah se le kar tab tak. 
09.==>population census shuru ki gai. 
10.==>yateem Khaane aur social welfares open howe. 
11.==>Ghulami par banne lag gaya aur sahi sazaon ka nizam rakha gaya.                                                  

Life Style


Hazrat Umar Farooq R.A Qalander aise the k jahan thehre kisi darakhat par chadar daal di to usi k saae main let gae, Sikander aise the k Rom ka kesar aur Iran ki shenshaeyat un k naam se mashhoor thi, faqeer aise the k badan par Jo karphy pehnte us main 12 rafo howa karte, sar par phata ammama aur paaon main phati jootiyan hoti theen, ameer aise the k 22 lakh marbah meel par un ki hukmirani ka parcham lehrata tha. Insaf aur hukamat ka ye aalam tha k Kasam Kha kar farmate the k "Agar meri saltanat main Insan to bari baat hai koi kutta b bookh se mar gaya to main Undallah masool hoonga."                                                         
Shahadat


Aik Majoosi Gher Muslim Abu Lulu Feroz ik Din Sayyiduna Hazrat Umar R.A k pass apne malik ki shikayat le kar aae k wo un py tax laga raha hai, Aap R.A ne tehqeeq karwai k kesi tax, jb tahqeeq poori hio to Aap R.A ne Abu lulu Feroz ko kaha k tax haqi lagi hai aur na haqi nahi, to wo gustakh guse me chala gaya, aur dosre din Subah Fajir ki Namaz main us ne Sayyiduna Hazrat Umar R.A ki peeth main 6 bar war py war kiya, aap py be behoshi ki tareki AA rahi thi k aap ne farmaya k mujhy kone main rakha jae pehle namaz poori ki jae, sab ne namaz Ada ki, to Aap R.A ne poocha k kis ne mujhy maara, to kisi ne kaha k kisi majoosi ne aap py war kia, to Sayyiduna Hazrat Umar R.A k Chehre py ronak aai aur hath utha kar Khuda ka shukar kia k aap py kisi muslaman ne war nahin kia, phir aap 3 din tak zakhmi the, phir 23.A.H main Wafat kar gae. 
Aap R.A 63 saal ki umer main wafat kar gae, Aap R.A ne 10 Saal, 6 maah, 4 Din Khilafat ki. aur aap 3 din zakhmon ki halat main

Ek Nojawan ki Kahani Most Emotional Bayan By Mualana Tariq Jameel

Ek dafa Mussa As k dor ki baat hai ek nojawan bht ghalat rashty pay chal para to logoun nay us ko shahr sy nikal dia jab kuch dinu bad us ka khana peena sub khatam Jab us ny dekha ab ma ny bachna nahi hai To us nay asmaan ki taraf dekha Aur ek baat khai 
 "Ay Mary Raab jo Maaf karny say chota nahi hota Hamari Na farmani sy chota nahi hota mujhe sub nay chor dia hai Mujhe tu Maaf kr day Mujhe Logoun NAy maaf nahi kiya Us ki JaaN Nikal Gai "
ALLAH Nay Mussa As ko Pegaam bhaja r kha Mera ek dost jungle ma maar gia hai r jo us ka janaza parhye ga us ko b maaf kr dia jaye ga Sub logoun ny whan jana shuru kr dia r kha hazart ap ye kya kha rhay hain Ye to wohi hain jis ko hum nay nikal dia ap to kha rahay hain jo is ka janaza parhy ga us ko b MAaF dia jaye ga 
Tw Hazart Mussa As ny Allah sy pocha Ay Allah ye tary bndy kya kha rhy hain r ap kya kha rhy hain Tw Allah ny kha Ye shi kha rahain hain ye esa hi tha LAkeen jb Ma ny is py moat ko tari kiya is ko apny pas bulana chaha To ma ny dekha is ny idr udr dekha isy koi nzr ni aya fir is ny mujhe pukara jb is ny mujhe pukra jb is ny mujhe pukra to meri gharaat
gawara na kiya jisy sub chor dain usy ma b chor dun (SUBHANALLAH) US waqt meri rahamat ko itna josh aya tha us ny tw sirf apni  bakhshish mangi ager us ny puri dunyia ki  bakhshish mangi hoti tw ma sub ko  bakhsh dta
 


Ramadan ka 1st 2nd 3rd Ashra Ki Dua - Ramzan Phela Dusra tesra Ashra ki Dua 2016

1st Ashra

2nd Ashra


3rd Ashra

Ghar ma any sy phlay ki dua


Raat Ko sony say Phlay ki dua


What Is Salah?

Salah (or salat) is one of the Five Pillars of Islam. 

While the Arabic term salah is often translated simply as “prayer,” it usually refers to Islam’s mandatory forms of ritual worship, consisting of prescribed recitations (in Arabic) along with specified bodily positions (standing, bowing, prostrating, and sitting). Before praying, a Muslim must perform ablution (ceremonial washing). Muslims are required to pray facing the Ka’ba in Mecca, and women must position themselves behind men (although it is recommended that women stay at home during prayer).

The Qur’an mentions only three daily prayers

Qur’an 11:114—And keep up prayer in the two parts of the day and in the first hours of the night; surely good deeds take away evil deeds; this is a reminder to the mindful. 

Qur’an 17:78-79—Establish regular prayers—at the sun’s decline till the darkness of the night, and the morning prayer and reading: for the prayer and reading in the morning carry their testimony. And pray in the small watches of the morning: (it would be) an additional prayer (or spiritual profit) for thee: soon will thy Lord raise thee to a Station of Praise and Glory! 

Qur’an 24:58—O you who believe! let those whom your right hands possess and those of you who have not attained to puberty ask permission of you three times; before the morning prayer, and when you put off your clothes at midday in summer, and after the prayer of the nightfall; these are three times of privacy for you.

However, in the Hadith, Muhammad requires his followers to perform five daily prayers (suggesting, perhaps, that Muslim prayer practices were modified sometime between the compilation of the Qur’an and the compilation of various Hadith collections more than a century later): 

Sahih al-Bukhari 528—Narrated Abu Hurairah: I heard Allah’s Messenger saying, “If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day, would you notice any dirt on him?” They said, “Not a trace of dirt would be left.” The Prophet added, “That is the example of the five (daily compulsory) Salat (prayers) with which Allah blots out (annuls) evil deeds.”

The prescribed times of the five daily prayers are: 

Fajr—near dawn.
Zuhr—just after midday.
Asr—late afternoon.
Maghrib—just after sunset.
Isha—after dark.

According to Muhammad, prayer is disrupted or annulled by the passing of a dog, a woman, or a donkey: 

Jami At-Tirmidhi 338—Abu Dharr said that Allah’s Messenger said: “When a man performs Salat, and there is nothing in front of him like the post of a saddle, or a camel saddle, then his Salat is severed by (passing of) a black dog, a woman, and a donkey.” It was said to Abu Dharr: “What is the problem with the black dog rather than the red or white one?” He said: “O my nephew! I asked Allah’s Messenger just as you have asked me. He said: ‘The black dog is a Shaitan (devil).’”

Interestingly, the Qur’an declares that Allah prays and worships: 

Qur’an 33:43—He [i.e., Allah] it is who prays for you and His angels too, to bring you forth out of the darkness into the light, for He is merciful to the believers. 

Qur’an 33:56—Verily, God and His angels pray for the prophet. O ye who believe! pray for him and salute him with a salutation!



Dua Qunoot